maratab ali - Aap Kyun Roye
Featured video
Description
jo hamne daastaan apni sunaayi, aap kyun roye jo hamne daastaan apni sunaayi, aap kyun roye tabaahi to hamaare dil pe aayi, aap kyun roye hamaaraa dard-e-gham hai ye, ise kyun aap sahte hain ye kyun aansoo hamaare, aapki aankhon se bahte hain ghamon ki aag hamne khud lagaayi, aap kyun roye jo hamne daastaan apni sunaayi, aap kyun roye bahut roye magar ab aapki khaatir na royenge na apnaa chain khokar aapkaa ham chain khoyenge kayaamat aapke ashkon ne dhaayi, aap kyun roye jo hamne daastaan apni sunaayi, aap kyun roye na ye aansoo ruke to dekhiye, phir ham bhi ro denge ham apne aansuon mein chaand taaron ko dubo denge fanaa ho jaayegii saari khudaai, aap kyun roye jo hamne daastaan apni sunaayi, aap kyun roye
Post your comment
Comments
-
aak
Added
best of best